Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the,
kisi pey mar mitne wale hum na thay,
aadat si par gayi tumhe yaad karne ki,
warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the,
kisi pey mar mitne wale hum na thay,
aadat si par gayi tumhe yaad karne ki,
warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chor kar log karte hain pyar
Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan,
kuch kadmo k nishan kabhi nahi khotay.
Jinhe yaad karke muskura de aankhainn,
wo log door ho kar bhi door nahi hotay.
Aankhon ki zuban woh samajh nahin patay,
Hont magar kuch bhi keh nahin paatay,
Apni bay basi kis tarah kahain,
Koi hay jis k bina hum rah nahin patay.
Na illm tha mohabbat kya cheez hai,
Na bekarari na rusvayi ka pata tha,
Tum kya aaye mere zindagi mein,
Hum apna naam tak bhool chuke.
Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye
k hum jise yaad karain usey khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri k
aap jise chahain woh aap ka humsafar ho jaye
Yeh sach hai k Aa jata hai shohrat ka Asar..
insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hain..
Aur bewafa badle ya naa badle..
Waqt aane par wafadar badal jate hain.
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,
Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..
Be’hiss hai yahan loag,bhala soach kai karna..
Is doar main logoon sai wafa soch kai karna
ik baar jo rothey,to mana tum na sakhoo gay,
hum jaisai diwanoon ko khafa soch kai karna
Gul shaakh sai bichrai to kahin ka nahi rehta
Tum zaat mere khud se juda soch kai karna.