Tairi jheel si gehri aankhon
ko jo neel-e-kanwal keh doon,
Duniya jal jayai gi,
jo tujh per ghazal keh doon…
Tairi jheel si gehri aankhon
ko jo neel-e-kanwal keh doon,
Duniya jal jayai gi,
jo tujh per ghazal keh doon…
Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta,
Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta,
Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay,
yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.
mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey
unki aadat hai woh chubtey hain
zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai ,
doka detey hain wafadari se
Zindagi mein kuch sapnay saja lena,
Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena,
Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge,
Jab chahey hamain aazmaa lena.
Duaa hai meri rab se khush rahoo tum…
Milay na koi ghum jahan bhi raho tum…
Samundar ki terha dil hai gehra tumhara….
Khushiyon say bhara rahay daman tumhara….
Khuli aankhon se sari umar dehka,
Ek aisa khowab jo apna nahin tha,
aaj tak woh shahks dil mein haiiiii,
K jo us waqt bhi mera nahin tha…
Bohat Udas Hai KOi Shakhs Teray Janay sai,
Ho Sakay To Lout aa Kisi Bahanay Sai,
Tu Lakh Khafa sahi magar Ik Bar To Dekh,
Koi Toot Gaya hai Teray Rooth janay sai…!!
raat kya dhali taaray chale gayai
ghairon say kya gila jab apnay chale gayai
jeet to saktay the ishq ki baazi hum bhi
per unhe jeetanay ke lye hum harte chale gaye
Is dard-e-dil ko zamana kya jane,
Ak bewafa ishk ko nibhana kya jaane,
Kabr ke ander hota hain kitna dard,
Ye uper phul chadhane wala kya jane
Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha