Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota…
Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
Hum aap ko apni manzil samajhtay hain,
Bara farq hay aap k aur hamaray nazariye main
aap humain sapna aur hum aap ko apna samajhtay hain
Mitti meri kabr se churata hai koi,
mar kar bhi yaad ata hai koi,
ae khuda ek pal ki jindagi aur de mujhe,
udas meri kabr se jata hai koi
Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!
Tum nahi ,ghum nahi,sharab nahi
Aisi tanhai ka jawab nahi
Jane kis kis ki maut aayi hai
Aaj rukh par koi naqab nahi
Woh karam ungiiyo pe ginte hai
Jurm kay jin k kuch hisaab nahi
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.
Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai,
Jisko hum chahtey hain wohi kion rulata hay?
Merey khuda agar wo mera naseeb nahi
to aisay logon say phir mujhey kion milata hay?
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti,
Dil ke armano ki manzil hai teri dosti,
Zindagi ban jaye jannat agar,
Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti.