Mohabbat me kya imtihaan aa giya,
roz haste hue chehre ko udas bana diya.
Kabhi lutate the ham mohabbat yun hi,
aaj khuda ne hame hi mohabbat ka mohtaj bana diya.
Mohabbat me kya imtihaan aa giya,
roz haste hue chehre ko udas bana diya.
Kabhi lutate the ham mohabbat yun hi,
aaj khuda ne hame hi mohabbat ka mohtaj bana diya.
Mitti ki anokhi murat ho tum,
Zindagi ki ek zarurat ho tum,
Phool to khubsurat hote hai,
Phoolon se bhi khubsurat ho tum.
Jiss din band ho gayi meri Aankhein,
Kayi Aankhon se uss din aansu barseinge,
Jo kehte hai bahut bolta hai,
Kabhi wohi meri Aawaz sunne ko tarseinge.
Bewaja kisi ko sataya nahi karte,
had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte,
jinki sansain chalti ho apke sMs se,
unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
Kaun sa phool paish karon,
Koi phool gulab nahin,
Aap to khud aik gulab hain,
Jiska koi jawab naheen…
Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehta hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki bahon me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Toote khuwabo ki tasveer kab poori hoti hai,
chand taron k beech bhi doori hoti hai.
dena to hume khuda sab kuch chahta hai,
par uski bhi kuch majboori hoti hai..
Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain,
hum ghabraa kar ankhen jhuka laitay hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana laitay hain…!
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!