Itni dosti naa karo k bigar jayain hum.
thora danta bhi karo k sudhar jayain hum.
ho jaye gar humse koi khata to ho jana khafa,
magar itna bhi nahi k mar hi jayain hum.
Itni dosti naa karo k bigar jayain hum.
thora danta bhi karo k sudhar jayain hum.
ho jaye gar humse koi khata to ho jana khafa,
magar itna bhi nahi k mar hi jayain hum.
Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay,
Yeh hadsay woh hain jo samjhaye nahin jatay,
Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad,
Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay…
Ap lakh bhula k dekh lo
hum dilse yad ayenge
honge apke bade chahne wale
hum sabse badhke chahenge
ap pani p p k thak jana
hum hichkian ban ban ke ayenge.
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua,
Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua,
Jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan,
Main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua.
Jaisay aap hamaray na ho sakay thay
Hum kisi aur k na ho sakain gay,
Pyaar nahin kia apna dil diya hay
Ek pal bhi aap ko bhula na sakain gay…
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chor kar log karte hain pyar
Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan,
kuch kadmo k nishan kabhi nahi khotay.
Jinhe yaad karke muskura de aankhainn,
wo log door ho kar bhi door nahi hotay.
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate,
Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate.
Udne do parindo ko abhi shokh hawa main,
Phir laut kar college ke zamane nahi aate.
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe they hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi
Bhool jane ka hosla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua