Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain………….?
Tag: urdu love poetry
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
Falak pey ek aashiyana hamara hota
Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota…
Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
Hum aap ko apni manzil samajhtay hain,
Bara farq hay aap k aur hamaray nazariye main
aap humain sapna aur hum aap ko apna samajhtay hain
Mitti meri kabr se churata hai koi
Mitti meri kabr se churata hai koi,
mar kar bhi yaad ata hai koi,
ae khuda ek pal ki jindagi aur de mujhe,
udas meri kabr se jata hai koi
Aap samandar ki baat karate hai
Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!
Tum nahi, ghum nahi, sharab nahi
Tum nahi ,ghum nahi,sharab nahi
Aisi tanhai ka jawab nahi
Jane kis kis ki maut aayi hai
Aaj rukh par koi naqab nahi
Woh karam ungiiyo pe ginte hai
Jurm kay jin k kuch hisaab nahi
tumhari sath ki umeed karte hai hum
Raat ki tanhai se darte hai hum,
kagaz ki parchhai se darte hai hum,
Duniya sath chale na chale,
tumhari sath ki umeed karte hai hum
Koi sub keh ker pyar jatata hay
Jub koi khayal dil say takrata hay,
Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,
Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay
Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai
Jisne humko chaha,use hum chah na sake.
Jisko chahte the,use hum pa na sake.
Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai,
kisi ka toda aur apna bacha na sake.
