Is dafa to barishein rukti nahin faraz,
Hum ne ansu kia piye k saray mosam ro paray
Tag: poetry sms
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain,
Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain,
Kehtay hain us daur ko pyaar,
Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge
Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..
Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne
Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne,
Tumhare liye “God†se wish kiya humne,
Tumhari yaad chupke se chali aayi toh,
Toh bade pyaar se SmS kiya humne.
us ne mehsoos bhi na honey diya
us ne mehsoos bhi na honey diya,
yun kahani ka rukh moor diya,
milney julney main ki kami pehley,
phir rafta rafta hamein hi choor dya
Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai
Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.
Wohi loog yaad aney lagey
Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
Phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
shaam say pahlay teri shaam na honay doon ga
zindagi main tujhay na.kaam na honay doon ga
lagnay doon ga na hawa tujh ko khizaoon ki kabhi
phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
Hum bhi kitne nadan hain
Tare asman me chamkte hain
Badal itni dur hai fir bhi barste hain
Hum bhi kitne nadan hain
Aap dil me rehte hain or hum apse milne ko tarste hai
Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Aaj rootha hua ek dost yaad aya,
acha guzra hua kuch waqt yad aya,
jo mere dard ko sine me chupa leta tha,
aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
