Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Tham ke khanjar apne hi hathon mein,
Baydardi se apney dil par vaar na karna.
Tag: poetry sms
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
jise chaho wahi apne se dur hota hai,
Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise
koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.
Ek Zid Hamari Chand Ko Panay ki..!
Ek Aada Aapki Dil Churane Ke,
Ek Aada Aapki Dil Mein Bas Jane Ke,
Ek Chehra Aapka Chand Jaisa,
Ek Zid Hamari Chand Ko Panay ki..!
Kuch apni taqdeer se dur lagta hai
Mohabbat ki zanjeer say dur lagta hai,
kuch apni taqdeer se dur lagta hai,
Jo mujhey tum se juda karti hai,
Haath ki us lakeer se dur lagta hai…
beetay howay khud pay sitam likh raha hoon
Dil ki dastaan dard-e-qalam say likh raha hoon
beetay howay khud pay sitam likh raha hoon,
Dil ka qatal ho gia meray aur janazay ka lutf utha raha koi
matam ki jaga khushi ki ghazal ga raha koi.
Hasnay ko zamana hay
Hum ishq k Maaron Ka
Baas itna hi fasana hay,
Ronay ko koi nahi,
Hasnay ko zamana hay.
Mujhey ab bhi umeed hay uskay aanay ki
Kafan na dalo mere chehre pay,
Mujhe aadat hay muskurane ki.
Na dafnao meri laash ko,
Mujhe ab bhi umeed hay uskay aanay Ki.
Unka ashiyana dil mein basa rakha hai
Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.
Aansu ko palko tak laya mat karo,
Aansu ko palko tak laya mat karo,
Dil ki baat kisi ko bataya mat karo,
Log muthi mein namak liye phirte hai,
apne zakham unhe dikhaya mat karo.
