Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha….?
Tag: poetry sms
Phir aaj koi ghazal teray naam na ho jayai
Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye,
Aaj kahin likhte likhte shaam na ho jaye,
ker raha hon intezar tere izhar-e-mohabbat ka,
Isi intezar mei zindagi tamam na ho jaye,
ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say,
kahin naam tera badnaam na ho jaye,
Mangta hoon dua jab tu yaad aata hay,
K judair meray pyar ka anjaam na ho jaye.!
Har baat ka jawab inkar nahin hota
Har baat ka jawab inkar nahin hota
Har jaga rukna intazar nahin hota
Yun to milti hein hazaron se nazrein
Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Doston ki dastan jab waqt sunata hai
Doston ki dastan jab waqt sunata hai,
to hame bhi koi dost yaad aata hai,
Bhool jate hain hum zindgi k ghum ko,
jab aapke saath bitaya waqt yaad aata hai.
Woh Mile Humko Kahani Bankar
Woh Mile Humko Kahani Bankar,
Dil Me Rahe Pyar Ki Nishani Bankar,
Hum Jinhe Jagah Dete Hain Aakhon K Andar,
Wo Aksar Nikal Jate Hai Pani Bankar
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho usey jisey tum pa na sako,
Pyar kahan kisi ka pora hota hay,
Iska to pehla shabd hi adhoora hota hay
Nazron say nazrain milain to baat ho
Qasam unki jo hamain azmaye baithe hain,
pass hain dil ke par dur jakar baithay hain,
nazron say nazrain milain to baat ho,
mushkil to ye hai ki wo nazrein jhukaye baithay hain.
Meray hath uthay meray lub hilay,
Meray hath uthay
Meray lub hilay
Meray dil se
Yeh awaz uthi
Teray honton
Ki hansi
Teri Aankhon
Ki chamak
Teray Lafzon
Ki Khusbo
Teray Lehjay
Ki dhanak
To jo sochay
Tujhey mil jayai
To jo chahey
Wo ho jaye
Teri rahon main
Jugnu hoon
Her qadam pay
Tujhey bahar milay
To shaad rahay
Abaad rahay
Tujhey zindagi se
Itna pyaar milay
Meray lub hilay
Meray dil se
yeh dua uthi
jub mehfil main
tera ziker chalay
Her lub pay dua ayai
Tujhey her khushi
Raas aayai
Na koi ghum teray paas ayai.
Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
aashiq ilzam shabab ko deta hai.
Koi nahi karta qabul apni bhul,
kanta bhi ilzam gulab ko deta hai
Kashish dil ko dharkanay k liyay kafi hai
Kashish dil ko dharkanay k liyay kafi hai
uski yaad hi mujhey rulanay k liyaykafi hai
usko neend shayad hi aati hogi par
uske sang bite pal mujhe sulanay k liyay kafi hain
