Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa,
Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day,
Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay,
Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,
Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa,
Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day,
Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay,
Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,
Totay howay paimanay main jaam nahin aata,
Ishq k mareez ko araam nahin aata,
Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota,
Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,
Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.
Jawani ke din chamkiley ho gaye,
husn ke taiwar nookilay ho gaye,
hum izhar karney main thoray dhiley ho gaye,
AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE….
Zindagi nahin hamain doston say pyari,
Doston pay hazir hay jaan hammari,
Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
Jhuki nazron say iqrar mat karna,
nazrain utha kar inkar mat karna,
raat bhar taraptay ho kisi ki yadon me,
aur dusron ko kahtay ho kisi se pyar na karna.
Koi hay jo dua kia kerta hay,
Apnon main mujhey bhi gina kerta hay,
Bohut khush naseeb samajhtay hain khud ko hum,
Door reh ker bhi koi yaad kiya kerta hay
Chahne say har baat puri nahi hoti,
Thoray say andhairay say raat nahi hoti,
Jo pasand hai sab say zyada,
Unse kambakht mulakat nahi hoti.
Hamare zakhmon ki waja bhi woh hai…
hamare zakhmon ki dawa bhi woh hai,
Woh namak zakhmon pay lagaye toh kya hua,
mohabbat karnay ki saza hi woh hai…..
jo sach nahi hai wo sapna hai,
sapnon se sikayat kon karay,
jo dard diya wo apna hai,
apnon se sikayat kon karey?