Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den…
aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey
Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den…
aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey
Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim
hum vo dard hain jo ankhon se chalakte hain..!
Chandni raat main jab sara jahan sota hai
kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai
Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
humain koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banatay gaye
Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua,
koi hai hairan to koi tarsa hua.
Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai,
Mann ka paap chupanay ko badan hota hai,
Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log,
Esi liye har laash per kafan hota hai….
Raat ki tanhai se darte hai hum,
kagaz ki parchhai se darte hai hum,
Duniya sath chale na chale,
tumhari sath ki umeed karte hai hum
Jub koi khayal dil say takrata hay,
Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,
Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay