Tujh pe Qurbaan meri Yaari hai,
Hass ke mar jaaun iss ki Tayari hai,
Silsila na khatam ho apne Pyaar ka,
Kyunki humne tumhe yaad kiya ab tumhari baari hai.
Tag: poetry sms
Raat ko raat ka tohfa nahin dete
Raat ko raat ka tohfa nahin dete,
dil ko jazbat ka tohfa nahin dete,
hum to tumhe chand bhi de dete,
lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.
Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya
Yeh kaun muskura kar idhar say guzar gaya,
Bay noor rastoon main ujala bikhar gaya,
Socha bohut kisi say pyar na ho magar,
Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya..
Zindagi jee ker kia karain
Lay k hum dosron ki hansi kia karain
jo apni nahin woh khushi kia karain
Tanha jeenay say behtar hay mar jayain hum,
Jub saath tum nahin to zindagi jee ker kia karain
Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Sitaronk angan main ho ghar AAP ka,
Dua hay aik ek dost ki ek dost k liye,
Aap say bhi khobsorut naseeb ho AAP ka,
Ae dost dosti ki hai humne aapse
Aaj khushiyon ki koi badhai dega,
Nikla hai chand to dikhai dega,
Ae dost dosti ki hai humne aapse,
Aapka ek aansu bhi ghira to sunai dega..
Kuch to khas tha hato ki lakeer main
Tanha tha is duniya ki bheer main
Socha koi nahin mery taqdeer main
Aik din aap ne dosti ka hath barhaya
To laga kuch to khas tha hato ki lakeer main
Door na jaaya karo dil tarap jaata hai
Door na jaaya karo dil tarap jaata hai
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai
Aaj pucha hai dil ne ek sawal tumsey
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai?
Lamha lamha intezar kiya us lamhe k liye
Lamha lamha intzar kiya us lamhe k liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhay k liye,
guzarish yehi hai khuda se k kash
woh lamha phir aye 1 lamhe k liye.
Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo
Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,
Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski zindgi se chala jayega.
