Ashik ban gaya,Mat karo waar,
Bura nahee ye pyaar,Bura hai intezaar.
Letter diyaa to, Thappad mat maro yaar,
Bura nahee ye ikraar,Bura hai inkaar.
Sharaabee bana to,Mat dalo ilzaam,
Bura nahee ye jaam,Bura hai anjaam.
Tag: poetry sms
khilta hua phool khusbo de aapko
Ugta hua suraj dua de aapko,
khilta hua phool khusbo de aapko
hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
dene wala hazar khushiyan de aapko..!!
Zindagi chahiye mohabbat main
Zindagi chahiye mohabbat main,
ye ghari doo ghari ki baat nahi,,
aap say koi bhi nahi pehlay…
aap k baad koi zaat nahi….!!
Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain
Lamhay judai k be qarar kertay hain,
Halaat meray mujhey lachaar kertay hain,
Aankhain meri parh lo kabhi,
Hum khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain.
durr kahin wadi main rahta hai woh!
durr kahin wadi main rahta hai woh!
har lamha khayal main rahta hai woh!
kaisa hai woh kis haal main hai woh!
dil kay har sawal main rahta hai woh!
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki
jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
Teri DOSTI ko kabhi badnam na hone denge
Meri zindagi main Suraj nikle na nikle
Teri zindagi main kabhi shaam na hone denge.
Yad kertay hain her sans k baad
Sunehri dhoop barsaat k baad,
Thori si hansi her baat k baad,
Jaisay aati hay subha her raat k baad,
Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Daman bhi chota lagnay lagay
Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,
Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..
Gham ney hasney na diya
Gham ney hasney na diya,
zamanay ney roney na diya,
is uljhano ney jiney na diya,
thak k jab sitaron sey panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
