Chiraghon se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,
Kat sakti agar ye zindgi akailay,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?
Chiraghon se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,
Kat sakti agar ye zindgi akailay,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?
Anjanay mein hum apna dil gawan baithey
is pyar mein kaisa dhoka kar baithey
unse kya gila karain bhool hamari hi hai
jo bina dil walon se dil laga baithey
Kisi ko apna bananay main dair lagti hay,
Aik wada nibhanay main dair lagti hay,
Pyar to pal bhar main ho jaata hay,
Magar usay bhulanay main dai lagti hay….
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Nigahain nigahon se mila kar to dekho,
naye logo se rishta bana kar to dekho,
hasratain dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hila kar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen phaila kar to dekho
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.
Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
Zindagi ki raho pe jab aage jaoge,
Peeche ek saya tum hardam paoge,
Mud k dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsoos karoge to humko paoge.
Yaad aate hai to zara kho lete hai
Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai
Nind aakho me aate nahi laken
Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi Rota hai,
Umar bhar saath nibha na sake jo,
Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai