Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha….?
Tag: love poems for her
Phir aaj koi ghazal teray naam na ho jayai
Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye,
Aaj kahin likhte likhte shaam na ho jaye,
ker raha hon intezar tere izhar-e-mohabbat ka,
Isi intezar mei zindagi tamam na ho jaye,
ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say,
kahin naam tera badnaam na ho jaye,
Mangta hoon dua jab tu yaad aata hay,
K judair meray pyar ka anjaam na ho jaye.!
Har baat ka jawab inkar nahin hota
Har baat ka jawab inkar nahin hota
Har jaga rukna intazar nahin hota
Yun to milti hein hazaron se nazrein
Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Doston ki dastan jab waqt sunata hai
Doston ki dastan jab waqt sunata hai,
to hame bhi koi dost yaad aata hai,
Bhool jate hain hum zindgi k ghum ko,
jab aapke saath bitaya waqt yaad aata hai.
Woh Mile Humko Kahani Bankar
Woh Mile Humko Kahani Bankar,
Dil Me Rahe Pyar Ki Nishani Bankar,
Hum Jinhe Jagah Dete Hain Aakhon K Andar,
Wo Aksar Nikal Jate Hai Pani Bankar
Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
aashiq ilzam shabab ko deta hai.
Koi nahi karta qabul apni bhul,
kanta bhi ilzam gulab ko deta hai
Kashish dil ko dharkanay k liyay kafi hai
Kashish dil ko dharkanay k liyay kafi hai
uski yaad hi mujhey rulanay k liyaykafi hai
usko neend shayad hi aati hogi par
uske sang bite pal mujhe sulanay k liyay kafi hain
Doorian bahut hai par itna smajh lo.
Dooriyan bohat hain per itna samajh lo,
Paas reh ker hi koi rishta khaas nahin hota,
Tum dil k paas itnay ho k,
Dooriyoon ka ehsas nahin hota.
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
MAgEr PasS NaHi AaNa ChAhTa,
TaMaNnA NaHi tuMHain PANAy ki,
MAgeR KhoNA BhI NAHi CHAhTa…
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya,
Mitti ke motioyn ko bikhrane naa diya,
Jiss raah par pade tere kadmon ke nishan,
Uss raah se kissi ko guzrane naa diya.
