Hasrat hai sirf unhe pane ki,
aur koi khwahish nahi is deewane ki,
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi unhe itna haseen banane ki….
Hasrat hai sirf unhe pane ki,
aur koi khwahish nahi is deewane ki,
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi unhe itna haseen banane ki….
Main nay bhi kisi say pyar kiya tha…
thoda nahi bay shumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha…
Aray mein nay to sirf mazak kiya tha
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay
Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay
Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein tarsa nahi kertay
Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay
Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay
Phool khile, kaliyan khili,
wah wah…
phool khile,kaliyan khili ,
Ab gulab ki baari hai…
hamne to sms bhej diye
janab ab aapki bari hai…
Na jane konsi baat aakhri hogi,
na jane konsi raat aakhri hogi,
karni hai to karle jee bhar ke baatein,
na jane hamari konsi saanse aakhri hogi.
Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon
yeh dua hai koi gela nahe
maire zindage hay woh gulaab jo kabhe khila nahe
main sochta hoon KHUDA karay tujhe
woh sukh milay jo mujhe kabhe mila nahe
Mansob thay jo log meri zindagi k sath
Akser woh milay bari bayrukhi k sath
Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay
Aey dost youn na khail meri bay basi k sath
Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log
Itna Bura salook meri saadgi k saath.
Judai aapki rulati rahegi,
yaad aapki aati rehegi.
Pal-pal jan jati rahegi,
jab tak jism mein hai jaan
har saans dosti nibhati rahegi.
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!