Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Woh zindagi kia jis main pyar na ho,
Woh pyar hi kia jis main yadain na hon,
Woh yadain hi kia kis main tum na ho,
Woh tum hi kia jis main hum na hon,
Tamaam umer zindagi sey door rahey,
Apki khushi k liye apni khushi se door rahe.
Ab is say barh ker wafa ki saza kya hogi,
k aap k ho ker bhi aap sey door rahey…!!!
Kadam kadam pe hawao se talukh rakhna,
Dosti ke naam pe dosti ka asra rakhna.
Hamari dosti ki khusbu zarur aayegi.
Aap apna INBOX khali rakhna.
Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta
Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta
Tere khaloos-e- mohabbat pe atebaar hai itna
Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta
Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,
Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai
Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,
Pura din guzarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Chiraghon ki roshni jab zara hili,
Laga tumhari ek aahat si mili,
Jaake dekha jab dar pe,
To phir wahi kafir hawa mili..
Laho main rang ki tarah basa hay tera khayal
Main kis tarah teri yaadon say fasla rakhon…
Kisi bhi shakhs say koi gharz nahi mujh ko
Main sirf teray liyay sub say raabta rakhon…
Kabhi kabhi aisa bhi hota hay,
Dosti ka asar zara dair say hota hay,
Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main.
Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..