Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par ansu chor jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey zindagi bhar kaam aate hain.
Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par ansu chor jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey zindagi bhar kaam aate hain.
Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapse
chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain
Hume apne dil mein basaye rakhna,
hamari yaadon k chirag jalaye rakhna,
bahut lamba hai safar zindagi ka mere döst,
ek hissa hume bhi banaye rakhna.
Hamare muskuranay ki waja tum ho,
Hamari zindagi ka matlab tum ho,
Agar chora saath zindagi main hamara,
to samajh laina k hamari maut ki waja bhi tum ho
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain,
Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain,
Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech,
Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.
Woh humein bhulane ki baat karte hain,
Zara pucho humein kitna Yaad karte hain,
Chehre pe hasi ka dikhawa hain,
Magar Tanhaii mein Aansuon se Fariyaad karte hain.
Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya
Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia,
Intezar to sab kartay hain,
saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia
barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
Kion kisi ki khamoshi mujhey khamosh ker jati hay,
Kion uski udasi mujhey udas ker jati hay,
Kia rishta hay uska mera jo mujhey,
Uski yaad her pal aa jaati hay…
Aye khuda teri mehfil me
haath uthaye fariyaad karte hai,
sambhalay rakhna us amanat ko
jise hum tanhai me yaad karte hai.
(’_’)