Dil k konay say aik awaz aati hay,
Hamain har pal un ki yaad ati hay,
Dil pochta hay bar-bar hum say,
Jihain hum yaad kertay hain,
Kia unhain bhi hamari yaad ati hay?
Tag: hindi shayari
Marna ka maza to tab hai yaro
Koi dikha k roye,
Koi chupa k roye,
Humain rulanay walay,
Humain rula k royee,
Marna ka maza to tab hai yaro,
Jab qatil bhi Janazay per aa ker roye
Tere bina hum jeena bhool jate hain
Tere bina hum jeena bhool jate hain,
Zakhmon ko seena bhool jate hain,
Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain,
Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain.
Miley aaj tumhein woh khushiyan k
Har ek sajda maqbool-e-khuda ho jaye,
Teri DUAON k sang rab ki raza ho jaye,
Miley aaj tumhein woh khushiyan k,
Hazaron sal tak ghum tujh se khafa ho jaye
Meray sms padh k yaad to karte honge
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.
Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
Hamari baat to aur thi yaaro
Usne hothon se chu kar,
pani ko gulabi kar diya,
Hamari baat to aur thi yaaro,
machliyo tak ko bhi sharabhi kar diya
Na to yaado ko yaad rakhte hain
Na to yaado ko yaad rakhte hain
Na hi sapno ko saath rakhte hain
Hum to buss unko yaad rakte hain
Jo hamein dil ke pass rakhte hain
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh par nazrein phira lete hai,
Par ek baat par ghaur unkay kartey hai,
Baatain ghairon ki, qasmain mere naam ki kha leti hai.
Meri chup se naraz na hua karo
Baray hi sarfrosh hua kartay hain,
Haqiqaton ki aaghosh huwa karty hain,
Meri chup se naraz na hua karo,
Gehray samunder hamesha khamosh howa kartay hain
Kya baat hai
Kitabo k panno ko palat k sochta hu
u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,
khwabo me roz milti hai jo
hakikat me aaye to kya bat hai
